Giulia Tofana, a professional poisoner who was famous for selling poison to women who wanted to murder their husbands.

Summary

Giulia Tofana was an Italian professional poisoner. She was famous for selling poison to women who wanted to murder their abusive husbands. She was the inventor of the famous poison Aqua Tofana, which is named after her.

Ye kahani ek aisi mahila ki he jise Italy ki mahilaye robin hood manti thi aur waha ke mard, use kala jaado karne wali chudail. Ye kahani aaj se 400 saal pahle, yani, 1620 se 1650 ke beech ki he.

Julia tofana nam ki bacchi ka janam Italy ke, palemo name ke shahar me rahne wale ek pariwar me hua. Yaha me aapko us samay ke Italy ke bare me kuch zaroori jankari dete chala hu

Photo by Vova Krasilnikov on Pexels.com

Italy me tab sarkari tantra, waha ke church aur unke padri ke isharo par kaam krta tha. Pure desh me pitrasatta, yahi patriarchy ,,,,,,        ya aasan shabdo me kahe to, mardo dwara mahilao ko daba kr rakha jata tha. Mahilao ko talak lene tak ka bhi adhikar nahi tha, unka pati unko chahe jitn mare pite, unko rahna aapne pati ke hi sath hota tha. Waise us samay laghbhag aisa hi haal mahilao ka pure vishwa me tha. Bharat me bhi baal vivah aur sati jaisi kupratha prachalit thi.

Aisa hi mahol Julia ke ghar me bhi tha, Julia ka baap uski maa ke saath aae din maar peet krta rhta tha. Jab Julia 13 saal ki hui tab pani sir ke upar ja chukka tha. Ek raat Julia ki ma ne aapne pati ki neend me hatya kr di. Julia ki maa ko Church system ne doshi mana aur usko maut ki saza de di gayi. 

Julia ne bachpan me hi itna sab kuch deekh liya tha. Jaldi hi Julia ki bhi uske baki rishtedaro ne shadi krwa di.

Julia ki kismet bhi uski maa jaisi hi nikli. Julia ne bachpan me jo deekha wo aab uske saath hone laga. Parantu Julia aab aapni maa jaise galti nahi krne wali thi. GALTI matlab, katl kr ke pakde jane ki galti.

Julia padhai likhai me bahut teez, aur chemistry uska pasandida subject tha. Us samay ki science aaj ki tarah aadhunik na thi, aur jyada tar research work aapne start me hi tha. Julia ek chemistry ke professor ke saath unki lab me kaam kiya krti thi. Isi lab me Julia ne ek alag kism ke zahar ka avishkar kiya. Ye zahar insan ke sharir me dheere dheere aasar karta tha, ye zahar lene wale vyakti ki tabiyat kharab hone lagti thi, use kai dini tak teez bukhar rhta, uska sharir kamzor hota jata, aur aakhir ke kuch hafto baad uski maut hoti. Ye zahar dheere dheere aapna kaam krta tha. isliye 

Sabko yahi lagta ki us vyakti ki maut bimari se hui he. Zaroor Ye zahar slow tha, parantu bahut ghatak bhi tha, ise lene wale vyakti ki maut 100 pratishat pakki thi.

The Barclay family plot by Evelyn Simak is licensed under CC-BY-SA 2.0

Julia ne sabse pahle iss zahar ka istemal aapne pati par kiya, ek mahine ke bhitar hi uski maut ho gayi. Sabko laga uski maut bimari se hui. Julia ki ek beti bhi thi. Aab Julia ne aapni beti aur 3-4 aisi aurto ka gang banaya jo purusho ke haato pratarit thi.

Julia ne aapne gang ki madad se, ye zahar zaroorat mand aurto tak pahuchana shuru kiya. 

Julia aur uske gang ne ek karkhana khola, yaha mitti me bartan, kapde ityadi ka kaam hota tha. Gang ki mahilaye shahar bhar me ye saman bechne jaya krti thi, aur iss prakar unko un mahilao ke bare me jankari milti jo aapne pati ke aatyacharo ka shikar thi. Gang ki mahilaye in peedit mahilao se sampark bnati aur janne ki koshish krti ki wo aapne pati se chutkara pana chahti he ya nahi. Dheere dheere unko samjhaya jata ki aise patiyo ke saath rhne me unka aur unke baccho, dono ka nuksan hi he. Pati ke bina bhi mahilaye aapni zindagi jee sakti he. Wo chahe to Julia ke karkhane me bhi kaam kr sakti he.

Pura bharosa hone ke baad hi unko Julia, aapne zahar ke bare me btati. Julia dwara izaad kiye gaye iss zahar ko Aqua toofana ke nam se jana jata tha.

Photo by Kat Smith on Pexels.com

Puri tarah se jab mahilaye taiyar ho jati tab unko iss zahar ko kaise use karna he, pati ke beemar hone par kya kya karna he jisse kisi ko mahila par koi shak na ho, sab sikhaya jata tha.

tatha pati ki maut ke baad kisi bhi tarah ke kannooni mamle samne aane par bhi mahilao ki madad kari jati. Sampatti me unko pura hak dilane ka bhi kaam kiya jata.

Iss prakar 20 saalo tak Julia aur uske gang ne saikado mahilao aur unke baccho ki zindagi sawari.

Parantu jaisa hota he, koi bhi raaz ke raazdar jab badhte jate he to uske khulne ki sambhavnaye bhi badhne lagti he. 

Jaise jaise koi lagatar safal hota jata he tab wo dheere dheere dheela padne lagta he, uska dar khatam hone lagta he aur yahi wo galti ho jati he jo insan ki barbadi ka karan ban jati he.

1650 me ek mahila Julia ke gang ke sampark me aayi, wo bhi aapne pati ke zulmo ka shikar thi, uske 5 bacche bhi the. Julia ne usko zahar ke bare me bataya aur pati ko wo zahar soup me mila ke dene ko kaha. Mahila ne kahe anusar zahar soup me mila kar pati ke samne parosa, parantu aakhiri samay me uska pati prem uski ghutan par bhari pad gaya. Usne wo soup use nahi pene diya.

Us mahila ke bartav ne uske pati ko sachet kr diya, uske pati ko uspe shak ho gaya tha, usne mahila par dabav banaya aur mahila ne toot kar use sab kuch sach sach bata diya.

Julia saalo se ye kaam kr rhi thi, aur aab confidence me aa kr iss mahila ke case me galti kr gayi, yahi mahila agar Julia ke sampark ke kuch saal pahle aati to Julia samajh jati ki ye mahila ka dil itna pakka nahi ki ye aapne pati ko mar sake.

Photo by RODNAE Productions on Pexels.com

Julia aur uske Aqua Toofana ka sach sabke samne aa gaya, us sharhar ke sare mard aur church Julia ke khilaf hogaye the, parantu wahi ek church aisa bhi tha jo Julia ke saath khada tha. Us church ke logo ka manna  tha ki Julia ne galat kiya parantu uski mansha buri na thi. Wo mahilao ki madad hi krna chahti thi, isliye use maaf kr diya jana chahiye.

Shahar ki mahilaye to pahle se hi Julia ke saath thi aura ab ek bade church ka uske saath aa jane se Julia ke bachne ki sambhavnaye badh gayi thi. Mahilao me uski image hero wali thi.

Parantu Julia ka virodh karne wali janta ne uske khilaf sharyantra kiya, pure shahar me jhooti khabar uda di gayi ki Julia ne shahar ke water supply me aqua toofana mila diya he. Janta me aakrosh aa gaya, sabne, us church ko gher liye jisme Julia aur uski betiyo ne sharan le rakhi thi. 

Dange fasad bhadakne ke dar ki wajah se aakhir me church walo ne Julia aur uski betiyo ko police ke haatho saup diya. Jald hi Julia aur uski betiyo ko maut ki saza suna di gayi. 

Parantu Jis din sabko subah subah fasi di jani thi uske, ek ghante pahle Julia aapni jail ki cell se gayab ho jati he. Khuch log mante he ki, Julia jaado ki madad se band kamre se gayab ho gayi, aur kuch ka kahna he ki jail ke kuch log, Julia ke saath mil gaye aur uski bhagne me madad kari. Julia ki betiyo ko tay samay par fasi de di gayi. 

Photo by Ron Lach on Pexels.com

Iss ghatna ke theek ek mahine ke aandar, Julia aur uski betiyo ko saza dene wale 5 judgo ki kisi aagyat bimari se maut ho jati he. 

Kaha jata he ki unko maut aqua toofana se hui he aur Julia ne hi unko mara he. Iske baad spain ke alag alag shahro me kai baar aqua toofana ke istemal hone ki aafwah udi parantu tab ka medical science  kafi pichda hua tha isliye ye baat kabhi saabit na ho saki. 

Aaj bhi kisi ko sahi se nahi pata ki aqua toofana kaisa zahar tha aur kaise banaya jata tha. 

Isme arsenic aur lead ke maujood hone ki baat kahi jati he, parantu Chemical formulae ya koi aur jankari us khatarnak zahar ki aaj bhi uplabdh nahi he. 

iss zahar ka na koi rang na taste, yaha tak ki koi mahak bhi na thi. Jis wajah se iss zahar ko trace karna us samay aasambhav tha. Jal yani water me bhi isi prakar mahak taste colour nahi hota he isliye hi iss zahar me aqua shabd laga aur julia toofana dwara izaad karne ke karan ise aqua toofana kaha gaya. 

To ye thi aaj ki kahani

Photo by Dustin Tray on Pexels.com

Published by Abhishek Tiwari

A podcaster who blogs for passion and works as Business analyst for livelihood.

Leave a comment

Design a site like this with WordPress.com
Get started